Amazon Affiliate Marketing

How to make money by Amazon Affiliate Marketing


Affiliate marketing usse kaha jata hai jisme log company ke products ko promote kar ke apna commission earn karte hain. Aur yadi aap duniya ki sabse badi aur rich online "E-commerce company ke liye yeh kaam karenge to apko maximum commission milega. Yahan par hum Amazon company ki baat kar rahe hain. Amazon company online shopping ke liye sabse achhi online company maani jati hai. India ke log bahut se product amazon se online shopping karte hain, yadi aap bhi ek creator ya publisher ya blogger hai aur aur Amazon company ke products ko apne online platform se promote karna chahte hai to ap bhi iske madhaym se commission earn kar sakte hain. Yahan par hum, affiliate marketing what is (affiliate marketing kaise kare) aur amazon affiliate program se paisa kaise kamaye iski jankari apko denge

Amazon affiliate marketing program what is ?

Amazon affiliate program se online content creators , bloggers aur publisher ko unke traffic  ka paisa milta hai. Online traffic ka matlab hota hai ki apke online content ya blog  ko kitne log dekh ya padh pa rahe hai. yadi ap ek online content creator ya blogger ya publisher hai to amazon company ke associate bankar aap amazon pr lakho products ko apke traffic ke madhyam se apne viewers tak pahuncha sakte hain , yeh work apki website ya online content / blog pr ek easy link building tool ka use karke kiya jata hai, aur link ke madhaym se ki gayi products ki khridari ke anusar apko seedha amazon se comission milta hai, isse kehte hain affiliate marketing on amazon.

Amazon affiliate marketing program ke liye sign up kaise kare ?

amazon affiliate marketing program ke liye apko sabse pehle amazon par ak online account banana hoga , yeh account banane ke liye ap is link par click kar sakte online account bana sakte hain.

Amazon affiliate marketing program se kitna comission milta hai ?

‌‌amazon ki present policy ke anusar apke amazon product link ke madhaym se ki gayi khridari par apko anek products ke anusar 0.2% se lakar 9%  tak commission ya advertising fee rate milta hai , yeh comission rate time time par change ho sakta hai , adhik jankari ke liye ap iss link pr click kar sakte hai.

Yeh program kaise work karta hai ?

affiliate marketing on amazon se iss program ko apni website ya blog ya content aadi jod ke liye ap amazon par present kisi ak  ya product page aadi par link dekar unke products ko promote kar sakte hai , ap amazon par present products ya program ka text/image/text+image link share kar ya stylish banner link banakar unko promote kar sakte ho, aur un link ke madhaym se kharide gye products par commission le skte hai, yeh bahut aasan work  hai, Amazon ki affiliate marketing program se related  website par present jankari ke anusar apko kisi  product  pr link ko copy paste karna hai, adhik jankari ke liye ap amazon ki affiliate website ke link par jankari le sakte hai

Related Articles

Agar apko ye lekh pasand aayi ho to aisi hi latest knowledge aur tips ke liye humari website ko subscribe jarur karein.

Apne business ke cashflow aur udhaari ko manage karne ke liye humare app Bahi Khata ko bhi use karein : Download Link - Bahi Khata App

Dhanyavad 🙏