Amazon par product ki advertising kaise kare ?
Amazon hai kya ?
Amazon ek aisi website hai jisme badi aur choti sabhi type ke wholesale companies ke product sell hote hai. Ye world ki sabse badi e-commerce website hai jis par A to Z sabhi products available hote hain. App agar business owner hai to amazon seller account bana kar is par apne products bhi sell kar sakte hain. Amazon seller par account banane ke liye ye article padhe - Open Amazon Seller Account
- Amazon India Website Link - https://www.amazon.in/
- Amazon Seller Website link - https://sellercentral.amazon.in/
- Amazon app Link - https://play.google.com/store/apps/details?id=in.amazon.mShop.android.shopping
- Amazon Pay For Business App - https://play.google.com/store/apps/details?id=com.amazon.in.payments.merchant.app.android
Video - Amazon Par Product Ki Advertising kaise kare ?
Agar aap Amazon par seller hain to aap apni sales increase karne ke liye Advertising ki help le sakte hain....
Advertising on Amazon Step by Step Process
Hum apko step by step bata rahe hain kaise apne product ka advertising Amazon par chalte hai
- Amazon Seller Dashboard - (https://sellercentral.amazon.in) Is par Left Corner mai menu icon par click kare aur Advertising -> Create Campaign Par click kare.
- Advertising Campaigns Portal par "Create Campaign" par click kare.
- Ab Aap "Choose Your Campaign Type" se Sponsored Product ko Select Kare aur Continue Par Click Kare.
- Create Campaign - Is page mein aapko kuch basic details deni hongi.
- Campaign name (Optional) - Ismein aap kuch bhi type kar sakte ho ye apke customar ya buyer ko nhi dikhayi deta.
- Start aur end - Yahan apko batana hai ki ap apne product ka campaign kab se kab tak chalana chahte ho.
Start date - Konsi date se apna campaign start karna hai
End date - Konsi date tak aapko apna campaign chalan hai
3. Daily budget - Ismein apko likhna hai ki ap kitne rupay ka campaign chana chahte ho, lekin yaad rahe aap 50 rupay se neeche ka campaign nhi chala sakte ho.
4. Targeting - targeting 2 type ki hai pehla hai apka automatic targeting aur dusra hai manual targeting
5. Automatic Targeting - amazon apke product se relative keyword ko search karta hai aur apne aap apke product ko amazon par dikhta hai
6. Manual Targeting - apne aap apne product se relative keyword ko set kar sakte ho jisse apke product amazon par dikhayi dete hai
- "Campaign Bidding Strategy" kya hai
- Dynamic Bids- Down Only - agar amazon ko lagta hai ki apke product ki sell nahi aayegi to amazon apke product ki bids ya value kam kar deta hai
- Dynamic Bids- Up And Down - agar amazon ko lagta hai ki apke product ki sell aa rahi hai to apke product ki bids ya value maximum kar deta hai aur agar sell nahi aa rahi hai to amazon apke product ki bids ya low kar deta hai
- fix Bids - jaisa aap amazon ko suggestion dete ho amazon apke suggestion ko follow karta hai
- "Create An Ad Group " kya hai aur product kaise add karte hai
- Add Group name - ye optional hai isme aap kuch bhi likh sakte ho ye apke customar ya buyer ko nhi dikhta
- Product - isme aap jis product ka advertising lgana chahte ho us product ke samne jo add ka likha hai waha se product ko add kar lete hai
- "Set Default Bid" aur "launch campaign" kaise kare
- Set default Bid - aap kitne rupay ki bids lagana chahte ho campaign ke liye vo aap set kar sakte ho
2. Launch Campaign - aap launch campaign par click kare
NOTE- ab apke product ko amazon jyada se jyada amazon par customer ko dikhayega jisse apke product ki sales badh jayenge
Agar apko ye lekh pasand aayi ho to aisi hi latest knowledge aur tips ke liye humari website ko subscribe jarur karein.
Apne business ke cashflow aur udhaari ko manage karne ke liye humare app Bahi Khata ko bhi use karein : Download Link - Bahi Khata App
Dhanyavad 🙏