About PSBLoansIn59Minutes.com
Psbloansin59minutes - Loan App is owned, developed, and powered by Online PSB Loans®. We are acting mere as a facilitator between Banks/Financial Institutions and Borrowers in providing them ‘In-Principle Approval Letter’ within 15 Minutes.
What can you do with this Loan App?
- Apply for Business loan for MSME, mudra loan for small business, personal loan, auto loan like car loan & bike loan, home loan and get quick In-principle approval.
- Calculate EMIs with our loan EMI calculator
- Check your loan eligibility with our loan eligibility calculator
- Track your loan application status
- Download App - https://play.google.com/store/apps/details?id=com.project.psbloans
- Website - https://www.psbloansin59minutes.com
Step By Step Process
a) GST Details - Aapka account jaise hi verify hota h aapko ye screen dikhegi jisme apke profile vale option par aapko GST Details vale option par click karne hai. Jaise hi aap isme click karege ye aapki details GST portal se fetch kar lega aur aap manually bhi apni details isme feed kar sakte hai.
b) ITR Details - Income tax details ke liye aapko income tax return vale option par click karna hoga isme click karne par ye aapki details income tax portal se fetch kar leta hai nhi to aap iske liye apne C.A. se bhi ye details le sakte h aur aap income tax ki website se direct bhi download kar sakte hai.
c) Bank Statements - Profile vale option par hi aapko bank statement ka option milega isme click karne par aapko apni bank details add karni hoti h isme aapko apna current account ki details bhi deni honi h aur bank statement bhi upload karna hota hai
d) Owner Details - GST , income tax details aur bank statement sumbit karne ke baad aapko apply loan ka option milega
apply loan par click karne ke baad aapko aapko new market loan par click karte hi Apply loan par click karna hai. Iske baad aapko ye screen milegi jisme aapko 2 option milege;
- MSME Loan - Ismein app Rs. 5 crore tak loan apply kar sakte h
- Mudra loan - Ismein 10 lakh tak ka loan apply kar sakte hai
Aap apne business ki need ke according loan type select karke apni details fill kare iske baad ye details aapke bank ko forward kari jati h aapki details correct hone par bank aapke loan ka approval kar deta hai
e) Business Details - Business details me aapko apni basic details ke saath apni company or organization ki details bhi feed karni hoti h jaise no. of employees , aapki company start date, aapne aur konse goverment plan le rahke hai iske baad aapko proprietor details me apna name , address , pancard details , education status , policy details , assessed for income tax aur total experience dalna hota hai.
f) One Form - ye sabhi details fill kane ke baad aapko one form par click karna hota hai jisme aapko apne business related aur details fill karni hota hai.
isme aapko industry , sector , sub-sector , Msme registration no. , business premise aur bhi kuch details deni hota hai
Loan details me aapko purpose of loan me loan type select karna hoga isme aap 10 lakh tak ka amount fill kar sakte h , promotor contribution me aapko vo amount fill karna h jo aapke pass h aur loan amount required me jitna amount aapko required h vo dalege.
g) Monthly Sales & Expenses Detail - Monthly sales & expenses details me aapko aapki monthly sales aur usse related expenses ke bare me details fill karni hoti h
Existing loan details me agar aapke pehle se koi loan hote h to ye auto usko fetch karke show kar deta h aur details aapko show hogi
h) Final Approval - Jab aap form ko poora fill kar lete h uske baad aapko aapke profile ke hisaab se suitable bank offers milenge. App usmein se koi bhi offer select karke uska resp. bank select karke apply kar sakte hai. Uske baad aapko ek mail milega jisme aapke loan related poori information hogi. Vo mail aapke selected bank ke pass bhi jaayega.
i) Approach Bank Officials with approval - Aap mail copy aur apne documents ke saath branch me ja kar further process ko complete kar sakte hain. Aapko branch ki taraf se call bhi aayega.
Note - Is process se aap government banks se loan lene ke liye online apply kar sakte hai.
We hope that you like this content and for more such content Please follow us on our social site and YouTube and subscribe to our website.
Manage your business cash flows and payable/receivables using our Bahi Khata App