What is meaning of Brand Approval ?
Approval ke liye apply karne se pehle aapko yeh samjhna hoga ki brand approval hota kya hai aur iski jaroorat kyo padti hai ?
Customers ke buying experience ko better karne ke liye aur fake/low-quality products ko kam karne ke liye online marketplaces - Flipkart, Amazon, Myntra sellers se Brand Registration karate hain. Flipkart mein brand approval process mein flipkart aapke documents ko verify karta hai aur check karta hai ki aap real brand owner/authorised distributor hai ya nahi. Aapke documents ke proper verification ke baad hi aapki listing live hogi, isliye correct documents hi upload kare.
Brand approval ke liye jaruri documents
- Trademark certificate
- Brand authorization letter (from brand only)
- Invoice (from authorised distributor / authorise supplier )
- MRP label
- Product image
- Packing image
- Government issued FSSAI license compulsory for food products
Documents submit karne ke baad flipkart team aapke documents ki verification karegi, tabhi aap flipkart par apne product sell kar sakte hain.
Step by Step Process for Brand Approval
- Apne flipkart seller account mein login karein aur "My Listing" par jaye
2. Aab add new listing par click kare.
3. ab "Add a Single Listing" par click kare
4- ab apni category dekhe jisme ap approval lena chahte hai
5. ab aap jis brand ke products ko bechna chahte hai uske liye check kare , apna brand name enter brand name mein dale
6. Ab Flipkart apse kuch details lega
- Brand Name
- Brand logo (Not mandatory)
- Brand website link (Not mandatory)
- Present mai aap iss brand ke products kaha sell karte hai? – Wholesale / Online marketplace / Brand retail website / Brick Mortar Shop
- Sample MRP tag image
- Are you the brand owner
Jab aap apne documents upload karte hai to apply button par click kare , aur 48 hours tak wait kare, apko brand approval mil jayega. Yadi aapko brand approval nhi milta hai to flipkart aapko iski detailed reason bhejega. usse resolve kare aur resubmit kare.
Track Approval Request
Aap apne flipkart seller dashboard mein "listings" option mein "Track Approval Request" mein apni approval request ko track kar sakte hain.
Agar apko ye article pasand aaya ho to aisi hi latest knowledge aur tips ke liye humari website ko subscribe jarur karein.
Apne business ke cashflow aur udhaari ko manage karne ke liye humare app Bahi Khata ko use karein: Download Link - Bahi Khata App
Dhanyavad 🙏