India me Amazon, Flipkart, Snapdeal, Paytm, Myntra, Indiamart etc. e-commerce companies ne Organized Retail ke ek bade hisse par apna control kar liya hai. Ye clear ho gya hai ki aab aane wala future e-commerce business ka hi hai. Agar aap apne business ko online nahi karte hain, to aap picche reh jaayenge. Is article me hum baat karenge ki E-Commerce kya hai aur apna E-Commerce business kaise shuru kare ?
E-Commerce business kaise shuru kare ?
e-commerce business shuru karne ke do tarike hai.
1. Apni self ki e-commerce website/app bana kar work krna
2. Existing Marketplaces par sell karna
Apni Khud ki e-commerce website ya App banaye (Direct to Consumer)
New e-commerce business ke liye apni e-commerce website bana kar uske through vyapar start krna ek difficult rasta hai. Iske liye ek badi team ki need hoti hai jo aapki website/app develop, online marketing aur payment gateway aadi ko sambhal sake. atah ess madhyam se e-commerce business start karne ke liye ek bade investment ki need ho sakti hai, yadi aap fir bhi apni new e-commerce website bana kar new online business start krna chahte hai th aapko safal hone ke liye long time tak wait krna pad sakta hai
kisi isthapit bazaar me shamil hona
ek isthapit e-commerce company ke pahle se taiyar market ka hissa ban kar aap apna e-commerce business start karne ka ek aasan rasta apna sakte hai,ess raste se online vyapar start karne ke liye aapko matra ek pen number ,ek bank khata aur GST registation number ki need hoti hai,eske alava other sabhi jrurte jaise ki devlpment ,online marketing payment gateway, logistics aadi ka dhyan pahle se isthapit mukhya e-commerce company rakhegi, kisi isthapit online bazaar ya e-commerce company ke madhyam se apna e- business start karne ka ek labh yah bhi hai ki aap ek sath ek hi time par any isthapit bazaaro/e-commerce companyo ke madhyam se apnest utpad sell kr sakte ho aur paise kama sakte ho.
India me E-Commerce Marketplaces
. flipkart
. paytm
. snapdeal
. meesho
E-Commerce business start karne ke liye kya documents chahiye
- GST Registration number
- Bank Current Account
- Payment gateway
- Company registration certificate
- ate time d
- E-commerce platform banate time dhyan dene yogya baate
- ek achchha domain name chune
- ek uchit hosting le
- apna e-commerce store design kare
- apni website ko ssl certificate ke madhyam se safe kijiye
- payment gateway set kare
- product ki shipping aur packaging ke liye uchit logistics partner chuniye
E-Commerce business ko kaise grow Kare
upar ki details fill karne ke bad aapki e-commerce company business ke liye ready hai aur yadi aapke product bhi bazaar ke liye ready hai toh aap apne e-commerce platform ke madhyam products ki sell stat kar sakte hai, yadi aap apne brand aur business ko teji se badhana chahte hai toh eske liye sabse important hai apne business ko promote krna ya badhaba dena eske liye aap social networking website jaise ki facebook, twitter aadi ka sahara le sakte hai, yadi aap bade level par marketing krna chahte hai toh aap TV Advertisement ka bhi use kar sakte hain.
Online business ke liye inhe jarur padhe
Amazon seller kaise bane or amazon par online business kaise kare (Amazon for Seller)
Flipkart seller kaise bane (Flipkart for seller)
Agar apko ye lekh pasand aayi ho to aisi hi latest knowledge aur tips ke liye humari website ko subscribe jarur karein.
Apne business ke cashflow aur udhaari ko manage karne ke liye humare app Bahi Khata ko use kare : Download Link - Bahi Khata App