Flipkart Commission Calculator

Flipkart Par Product ka Selling Price Kaise Decide Kare ?


Flipkart kya hai?

Flipkart - Ek B2B marketplace website/App hai jo Buyers, wholesalers, manufacturers aur retailers ko connect karti hai. Ye businessman ka network hai. Flipkart ki website se Shopkeeper / Dukaandar apni dukaan ke liye koi bhi product buy kar sakte hain. Aur apne products Flipkart seller account bana kar sell bhi kar sakte hain.

Is article mein hum apko bata rahe hai kaise hum Flipkart par kisi bhi product ke list kiye huye product ka selling price kaise decide kare

Step By Step apne products ka selling price kaise decide kare ?

  1. Sabse pehle aap apne Flipkart ke seller dashboard par aa jaye aur listing par click kare Aur jis product ka selling price check karna us product ko select kare
  2. Calculator - Jis product ka selling price check karna hai us product ke calculator par click kare

3. Listing price - Product ka jo bhi apne listing price rakha hai vo aap listing price mein dekh sakte hai aur agr aap chahe to listing price ko low ya high kar sakte hai

4. Price Details - Aap picture mein dekh sakte hai Listing price Local, Zonal aur National ke liye kitna rakha hua hai , Shipping charge to customer Kitna set kiya hai

  • Local - Jo order apke apki city ya apki state se aaye hai use local kehte hai
  • Zonal - Ve order jo apki State ya apki State se Lage huye State se aate hai use Zonal kehte hai
  • National - Example ke liye maan lijiye aap delhi  State se ho aur apke order South se aaye hai to use National kehte hai

5. MP Fees (Market place fees) For Prepaid - Commission, Shipping fee, Fixed Fee Aur Collection Fee  in sabhi fee ko milane ko MP fees ya Market Place Fee kehte hai , aap Local, Zonal aur National mein check kar skte hai commission fee, shipping fee, fixed fee , collection fee kitni Flipkart apke listing price mein charge kar raha hai ye MP fees prepaid ke liye hai GST on Mp Fee hmesa Flipkart 18% Charge karta hai

Bank Settlement - Isme aap check kar payenge ki Flipkart MP Fess Aur GST charge katne ke baad apko Local , Zonal, National Mein kitne rupye apko pay karega

6. MP Fees (Market place fees) For COD - Commission, Shipping fee, Fixed Fee Aur Collection Fee  in sabhi fee ko milane ko MP fees ya Market Place Fee kehte hai , aap Local, Zonal aur National mein check kar skte hai commission fee, shipping fee, fixed fee, collection fee kitni Flipkart apke listing price mein charge kar raha hai ye MP fees COD  ke liye hai GST on Mp Fee hmesa Flipkart 18% Charge karta hai

Bank Settlement - Isme aap check kar payenge ki Flipkart MP Fess Aur GST charge katne ke baad apko Local , Zonal , National Mein kitne rupye apko pay karega

Prepaid order mein Flipkart less charge karta hai aur COD order mai Flipkart jyada Charge karta hai.

Agar aapko ye article pasand aayi ho to aisi hi latest knowledge aur tips ke liye humari website ko subscribe jarur karein.

Apne business ke cashflow aur udhaari ko manage karne ke liye humare app Bahi Khata ko use karein : Download Link - Bahi Khata App

Dhanyavad 🙏