Meesho reseller kaise bane

Aaj kal online earning ke bahut tarike hai, lekin isme time jyada dena padta hai aur earning bhi turant nhi ho paati. Specially aap agar flipkar, amazon par sell karte hain to aap to khud ke products upload karne honge aur kaafi investment bhi karna hoga. Aaj ke is article mein jo tarika bataya gya hai, usse aap jaldi paise kama sakte hai without investment; matlab Earn Money Without Investment from Home. yeh kaam aap apne ghar se hi kar sakte hain i.e. Earn Money from Home with Meesho.

How to earn money with Meesho app (What is Meesho App) ?

Meesho app india ka no. 1 reseller app hai, iss app ki help se koi bhi online product sell kar sakta hai aur achhi earning kar sakta hai.

Meesho company ke saath 1 crore se jyaada reseller jude hai , iss aap par reseller banne ke liye apko kisi bhi type ka charge nhi dena padta hai, aur na hi kisi type ka investment karna padta hai.

How to work with Meesho / Meesho par kaise kaam karta hain ?

  • Meesho par sabse pehle supplier apne product ko sell karne ke liye                             manufacture, wholeseller aur retailer ki catogery mai jud sakte hai
  • Suppliers apne products ko list karte hain fir meesho unhi product ko resellers ke liye meesho reseller app par uplabdh karata hai.
  • Meesho reseller mein resellers apne manpasand product ko select karke social media par share karke sell karte hai, sell karne se pehle ve apna profit margin add       karte hai aur shipping details mein customer ka naam aur address daal dete hain.

Profit margin sidhe reseller ke bank account mein transfer kar diya jata hai.

Meesho par reseller kaise bane ?

Agar aap meesho reseller banna chahte hai to niche diye step ko follow karein

  1. Sabse pehle aapko meesho reseller app install karna hai , meesho ap play store se install kar sakte hai , ya fir ap download  link pr click karke download kar sakte hai. meesho app download
  2. Aab is app ko open kare aur apne mobile no. enter kare aur Send OTP button par click karein.

                             

3. Aab aapke mobile no. par message par aaye huye otp ko app mai enter kare

4. ab apko apna gender select karna hai - female/ male

‌                                                              

5. Aab apke samne language select karne ka option aaya hoga, aap apni language select karein

                                        Congrats !! aab apka meesho reseller account ban gya hai

6. Aab aap apni bank details account section mai jakar add karein

Meesho product kahan  share kar sakte ha

  1. Whatsapp

Whatsapp par status par product ko share kar sakte hai

  • Aap whatsapp business ko install karke whatsapp par cataloge banakar order             receive kar sakte hain
  • Aap whatsapp group banakar bhi products ko share kar sakte hain
  • Aap whatsapp par direct message bhi send kar sakte hai

2. Facebook

  • Aap facebook par status laga sakte hai
  • Apni profile par post kar sakte hai
  • Aap facebook par online shopping group join kar sakte hai, usme  product                   share kar sakte hai
  • Facebook par sell karne ke liye facebook marketplace ka use kar sakte hai

3. Instagram

  • Instagram par sell karne ke liye aap product ki details ke saath aap story share kar sakte hain
  • Usmein aap * DM me to Buy * heading mention karte hai to log aapko message karke details prapt karenge
  • Instagaram par ap post bana sakte hain
  • Meesho Saree party wear
  • Meesho Kurti Set
  • Meesho Earrings
  • Meesho Dress Material
  • Meesho Blouse
  • Innerwear
  • Ethnic
  • Meesho Mens Shirts
  • Meesho Kids dress
  • Meesho Night Dress
  • Meesho Watches
  • Wallet
  • Purse
  • Meesho handbags
  • Other accessories
  • Home
  • Kitchen
  • Meesho Jewellery Set
  • Electronics
  • WinterWear
  • Footwear
  • Sports & fitness
  • And Much More

आज के इस Article में आपने पढ़ा कि "Meesho Reseller कैसे बने और घर बैठे पैसे कैसे कमाए Without any Investment ". मुझे आशा है कि आपको यह Article पसंद आया होगा।

Other related Articles :

Amazon seller kaise bane or amazon par online business kaise kare (Amazon for Seller)

Flipkart seller kaise bane (Flipkart for seller)

Agar apko ye lekh pasand aayi ho to aisi hi latest knowledge aur tips ke liye humari website ko subscribe jarur karein.

Apne business ke cashflow aur udhaari ko manage karne ke liye humare app Bahi Khata ko use karein : Download Link - Bahi Khata App

Dhanyavad 🙏