Shopify Se Apni eStore kaise banaye
Shopify kya hai?
Shopify ek software hai jiska use karke koi bhi easily apni e-commerce website bana sakta hai. Online store run karne ke liye jo bhi elements chahiye hote hain - Doman name, Payments, Theme, Inventory, Listing, Delivery integration ... ye sabhi functions ek single platform mein provide kar deta hai. Ye ek monthly/yearly Subscription service ki tarah se sell hota hai.
Website Link - https://www.shopify.in/
Video - Shopify ka full Review
Shopify Account Setup Step By Step
- www.Shopify.in par jaye - yaha aap 14 day free trial par click kare
2. Start your free 14-day trial of Shopify - Isme aap neeche di gyi details fill kare iske baad create your store par click kare
- Email Address - Jis email id se aap apna Shopify par account bnana chahate ho us Email ID ko type kare
- Password - yaha Email Id ka password type kare
- Your store name - Jo bhi aap apne story ka naam rakhna chahte hai us naam ko yaha type kare
3. Let's get started. Which of these best describes you?
- I am just starting - Agar aap Shopify par new hai to yaha tick kare
- I am already selling online or in-person - Agar aap pehle se online selling karte ho to yaha tick kare
4. Where would you like to sell? - Neeche diye gye option mai se kisi ak ko select kare
- An online store
- Social media
- In person
- An existing or blog
- Online marketplaces
- I am not sure
5. Do you want to sell products through dropshipping? - Dropshipping ek aisa tareeka hota hai jismein aapko products apne pass store karne ki jaroorat nahi hoti hai instead aap seedhe buyers ke yahan se customer ko products ship kar dete hain. Dropshipping ke liye yes nahi to no select karein.
6. Where will your business be located? - Jaha se aap apna business start kar rahe ho baha ki location select kare
7. Complete Shopify e-store - Ab apka Shopify par apna store ban gya hai
Agar apko ye lekh pasand aayi ho to aisi hi latest knowledge aur tips ke liye humari website ko subscribe jarur karein.
Apne business ke cashflow aur udhaari ko manage karne ke liye humare app Bahi Khata ko bhi use karein : Download Link - Bahi Khata App
Dhanyavad 🙏